22 May 2017

samne hai jo usay log bura kehate hain

samne hai jo usay log bura kehate hain
jisko dekha hi nahi usko Khuda kehate hain

zindagi ko bhi sila kehate hain kahnay wale
jeenay wale to gunahon ki saza kehate hain

fasale umar ke kuch or barha deti hai
jane kyu log usay phir bhi dava kehate hain

chaand masoom se patton ka lahuu hai "Fakir"
jis ko mahabuub ke haathon kii hinaa kahate hain

حفاظت